Sunday, June 14, 2020

Khayal hai, koi naam nahi - full

1) kuch sadhi kuch seedhi khinchi huyi julfen, aur kajrare me sameti huyi in beintehann khubsurat aankhon k beech lalaat pe wo choti kaali si bindiya thi.
Aaakarshan, sammohan ka aur kya paryay doon, ksheersaagar si gehri wo bindiya thi.
Bheege labon ne jab kaampate hothon ko thaam k shabodn ko viraam diya, tab meri najaron me pratyaksh wo bindiya thi.
Aankhein band, aur lab lipate huye the jab dono k, tab v chamak rahi meri najaron me, wo teri bindiya thi. 

2) ek saaz si thi jindagi, tum samg hm bohat muskuraye.
unmĂ ad khumaar ka jab utra, tab sejj par thi jindagi aur tum bohat yaad aaye

3) Kabhi anjane me bhul gayi ho, us dupatte ki khusboo me dhundhate the use.
Kabhi takiye par lipati huyi us tooti julf k dhaage me dhundhate the use.
Kabhi afsaano aur kabhi ibaadat me dhundhate the use.
Jaise bin jagaye chalo gayi ho, to silvaton me dhundhate the use.

3) Kashmkash in aansuon ki kya bataun unhe,
badi shiddat se palkon k peeche khud ko samete hain.
Dehleej laangh kar aankhon se chalakna hai inhe, 
Bekhauff aisa kar sakein, abhi itne khushkismat kahan ye hain.

4) bohat maasum banti thi jubaan tumhari, jinhe ibaadat ki quabuli farmaan samajh baitha tha. Ruswa kar gayi aaj har us Mohabbat ko, jo teri julfon me uljhi nigaahon se kar baitha tha.

5) Zindagi me tanhai ab soonapan kuch yunn talaash rahi hai,
 k apni saanson ki aawaz v shor lagti hai, 
gumnaam har kinaara aur apmaan har shaam lagti hai.

No comments:

Post a Comment