Saturday, August 8, 2020

shagufta dard...


1) Jo ab tum mujhse gumnaam ho, jaanta hoon khush nahi tum v bohat pareshaan ho. 
Ek baat tumhe v batana chahta hoon, apna safar kal sath ho naa ho, ye paigaam iss dil se uss dhadkan tak pahunchana chahta hoon...

K dil bhar aaye to jatana nahi aata aur 
aankh bhar aaye to bahana nahi aata.
Ek khushnuma din ki yaadon ka sila rona nahi hota, 
ek naasaaji bhara pal yaad kar kosna nahi hota.
Hai naasoor har lamha bekhayali ka,
jab tera chehra band aankhon se mayassar nahi hota.
Shagufta roshni v ithlati hai oonchi imaraton k paiband deewaron me,
Kya roshan karoon us Makaan ko jahan ab tera basera hi nahi hota.
Badastoor shor karti subeh jhaankti hai roshandaano se,
Bas chadar ki silvaton par Raat ki teri karwaton ka ab sath nahi hota.
Bheegi julfon se tapkati boondon ko sokha karti thi jo, ab us tolliye me teri Khushboo ka ehsaas nahi hota.

2) Kabhi aks ko pehchaan, barbas dard me muskurata hoon,
Fir Kabhi harf dar harf unki yaadein usi aks pe godata jaata hoon.

Ab to  maasoom lagti hain saja yafta salaankhon me band har diljale ki daastaan...
Jab unki mohabbat bhari saazish me bebas dil-o-jaan paata hoon.!!

3) wo raahein ab anjaan lagti hain,  Wo shaamein ab beimaan lagti hain..
 Kal tak jiske aagosh me hm madhosh soo jaaya karte the, 
 Jaanein gum gayi kahan wo Khushboo teri saanson ki, ab to ye shmashaan ki boo bikherati hain ...

4) Sabki apni samajh, apni pehchaan hoti hai.
Koi ro k aansu me jata jaata hai, 
Koi shabdon me apne gum chupa jaata hai. 

4) Jab soch, samajh par haavi ho jaata hai;
Jab kash ki kashish me gubaar, khumaar ban jaata hai.
Tab aashiq junoon se takrata hai , mutasir saari kaaynaat ko kar jaata hai.
aur khauff nahi maut ka ab use, jiska mukaddar hi sifar ban jaata hai.

5) tera intejaar meri aakhiri saans v karegi, 
Tu aaya to thik, warna rishta mujhse tod degi.
Aur mai chahta hoon k in saanson ki giraft se aazaadi ho jaye rooh meri,
Jinse wo Khushboo kaafir hai jo mehkaati thi meri jindagi, jab hua karti thi tu meri...

6) aankhon se unki aansu jo Chalke, rehnuma gam zamane ki humdardi ko beparda ho gaya,
Aur mai muskura k paas se nikal gaya, kuch jazbaat the khàas, bas baazar hone se bacha gaya ...!

7) वो सूनी रात भी हमारी थी, 
उस रात की बरसात भी हमारी थी।
जो सोचा कुछ पल बैठेंगे महबूब के साथ,
 कमबख़्त उसने तो किसी और की बाँहें सँवारी थी ॥





Sunday, June 14, 2020

Khayal hai, koi naam nahi - full

1) kuch sadhi kuch seedhi khinchi huyi julfen, aur kajrare me sameti huyi in beintehann khubsurat aankhon k beech lalaat pe wo choti kaali si bindiya thi.
Aaakarshan, sammohan ka aur kya paryay doon, ksheersaagar si gehri wo bindiya thi.
Bheege labon ne jab kaampate hothon ko thaam k shabodn ko viraam diya, tab meri najaron me pratyaksh wo bindiya thi.
Aankhein band, aur lab lipate huye the jab dono k, tab v chamak rahi meri najaron me, wo teri bindiya thi. 

2) ek saaz si thi jindagi, tum samg hm bohat muskuraye.
unmàad khumaar ka jab utra, tab sejj par thi jindagi aur tum bohat yaad aaye

3) Kabhi anjane me bhul gayi ho, us dupatte ki khusboo me dhundhate the use.
Kabhi takiye par lipati huyi us tooti julf k dhaage me dhundhate the use.
Kabhi afsaano aur kabhi ibaadat me dhundhate the use.
Jaise bin jagaye chalo gayi ho, to silvaton me dhundhate the use.

3) Kashmkash in aansuon ki kya bataun unhe,
badi shiddat se palkon k peeche khud ko samete hain.
Dehleej laangh kar aankhon se chalakna hai inhe, 
Bekhauff aisa kar sakein, abhi itne khushkismat kahan ye hain.

4) bohat maasum banti thi jubaan tumhari, jinhe ibaadat ki quabuli farmaan samajh baitha tha. Ruswa kar gayi aaj har us Mohabbat ko, jo teri julfon me uljhi nigaahon se kar baitha tha.

5) Zindagi me tanhai ab soonapan kuch yunn talaash rahi hai,
 k apni saanson ki aawaz v shor lagti hai, 
gumnaam har kinaara aur apmaan har shaam lagti hai.